Roman Urdu
Uss Say Milla To Mill Kay Adhoori GhaZal Kahi..........!!
Bichhrra, To Uss Kay HiJr Me'n Poori GhaZal Kahi..........!!
Ill'Haami Kefiyat Jo Huyi Tab Huye Hai'n Sher
Mai'n Nay Kahaa'n Kabhi Bhi Sha'Oori GhaZal Kahi..........!!
Dill Pay Parri Jo Chott To Ro Paaye Kab Kh'Mosh
Kehna Tha Kuchh Naa Kuchh To Zaroori, GhaZal Kahi..........!!
Ehsaas-E-Qurb Rehta Hai To Rehta Hoo'n Kh'Mosh
Mehsoos Ki Hai Jab Kabhi Doori, GhaZal Kahi..........!!
Hr Rang Me'n Zamaanay Ko Dekha Hai Iss Liye
Kaalli GhaZal Kahi, Kabhi Bhoori GhaZal Kahi.......... :P
Hum Meh'Kaday Me'n Betth Kay Kartay Hai'n Shaaeri
Hum Nay Sharaab Pee Kay Tahoori GhaZal Kahi..........!!
Hum Nay Shab-E-Siyaah Me'n Roshan Kiye Charaagh
Zullmat Say Sakht Jang Ki, Noori GhaZal Kahi..........!!
Sach'Cha Hr Ik Sher Kahaa Mai'n Nay Ay Kamaal
Poori GhaZal Kahi Kabhi Adhoori GhaZal Kahi..........!!
0 comments:
Post a Comment