Roman Urdu
Qaasid Kabootar
Ye Lahoo
Jiss Say Mere
Shehro'n Kay Saaray Raasstay
Gull'Koo'n Hai'n
Or Hr Pairahan Kaa Rang Hun'Naabi Hai
Kal Kay Mausmo'n
Or Aanay Waallay
SoorJo'n
Kaa ZamZama Hai..
Challo Tum Nay To
Kaalli Surkhiyaa'n
MaqraaZ Kr Daallee'n
Sukhan Nakh'Cheer Kr Daallay
Qallam ZanJeer Kr Daallay
Magar Ab Un Hawaao'n Ko Bhi Roko
Jo Tumhaaray Maqtalo'n Ki Laalliyaa'n
Or TaaZa Khoo'n Ki Khushbuye'n
Or Un Ki AawaaZe'n Liye
Gallyo'n Say
BaaZaaro'n Say
Shehraao'n Say Ho Kr
Hr Taraf
Qarya Ba Qarya
Phaillti Jaati Hai'n
Naadaano
Hawaaye'n Naama'Br Banti Hai'n
Jab Qaasid Kabootar Qaid Hotay Hai'n.. !!*
0 comments:
Post a Comment