Roman Urdu
Jaanaa'n Dill Kaa Shehr-Nagar Afsos Kaa Hai..
Tera Mera Saara Safar Afsos Kaa Hai..
Kis Chaahat Sy Zehr-E-Tam'Manna Maanga Tha
Or Ab Haatho'n Me'n Saaghar Afsos Kaa Hai..
Ik Dehleez Py Jaa Kr Dill Khush Hota Tha
Or Ab Haatho'n Me'n Saaghar Afsos Kaa Hai..
Hum Nay Ishq Gunaah Sy Bar'Tr Jaana Tha
Or Dill Pr Pehla Pathar Afsos Kaa Hai..
Dekh Iss Chaahat Ky Perr Ki Shaakho'n Pr
Phool Udaasi Kaa Hai, Samar Afswos Kaa Hai..
Koi Pachhtaawa Saa Pacchtaawa Hai Faraz
Dukh Kaa Nahee'n Afsos, Magar Afsos Kaa Hai.. !!*
0 comments:
Post a Comment