Roman Urdu
AJeeb Manzar Sawaad-E-Shaam Kay Aankho'n Me'n Phirtay Hai'n..
Hawaa SooraJ Ki Mash'All Ko Jallaati Hai, BuJhaati Hai..
Ufaq Pr Kitni Tasweere'n Ubharti Hai'n, Bikharti Hai'n..
To Daamaan-E-Nazar Me'n Be-Mahaaba Phool Khilltay Hai'n..
To Jaisay Jo-E-Baar-E-Yaad-Yaaraa'n Gun'Gunaati Hai..
Wo Humdum MuJh Ko Hairaan-O-Pareshaa'n Dhoondtay Ho'n Gay
Kay Jin Ki Mehrbaa'n Aankho'n Me'n Shabnam JhillMilaati Hai..
Qafass Me'n Rozan-E-Deewaar-O-Zakhm-E-Dr Nahee'n Lekin
Navaa-E-Taayeraan-E-Aashiyaa'n Gum Kr Wo Aati Hai.. !!*
0 comments:
Post a Comment